Jab Jab Insaaniyat ke Dard ka baadal Chaya
Jab Anek Darindo ka Saya Lehraya
Jab Aansoo, Badlaav laane ke iccha Tak aaya
Jab har Insaan Ghabraya
Humne Logo ko ye samjhaya
Tum Ek saath khade hone kyun rotein ho
Kya Duniya mein ye hi hone, dena chahte ho
Yeh jo tumhari khaamoshiyaan hai
Waqt ne insaaniyat ko baata hai
Kyun Gham Sacche Insaan ka Hissa hai
Kyun Berozghaar har chote ghar ka insaan hai
Kyun Aurat aaj bhi, Darindo ka Shikaar hai
Kyun Dharam ke upar, aaj bhi log jhagadte hai
Kyun Insaaniyat se upar, aaj bhi dharam hai
Kyun Insaan aaj bhi Rang, Jaati, Bhaasha ka bhedbhaav karta hai
Kyun Har Sazaa aaj bhi, Darindo se durr hai
Kyun Har Darinda, Ucche Kadh ka Hissa hai
Aankh Hamari bhekaar hi nam hai
Insaaniyat kahi bhekaar hi ghoom hai
Har pal ek naya, shadyantra hai
Kyun hum aise pal jeetein hai
Hum aakhir kyun, eksaath khade hone ghabratein hai
No comments:
Post a Comment